care

Care for new mothers in hindi (5 extra care tips for changing in new mothers body)

Delivery ke bad motherhood ke naye safar me kadam rakhne ka matlab hai, mahila ke shareer me mentally, physically aur emotionally roop se kayi sare changes ka anaa. Jiska seedha asar mahila ki sehat par padta hai.

Shishu ka janm lena har maa ke liye khas aur khushi ka pal hota hai. lekin aksar ladies is khushi ke pal mein apne upar dhyan nahin de paati. vah pregnancy mein to apna dhyan rakh leti hain. lekin aksar delivery ke bad kuchh mahilaye apne bacche ke moh mein itna kho jaati hain, ki apne dard ko bhi andekha kar deti hain. Jabki new baby ki care ke sath sath new mothers ki care bhi zaruri hoti hai. Aur is care ke bina kayi maaye mentally, physically aur emotionally weak ho jati hain.is artical “care for new mothers in hindi”  me aap janenge ki new mothers ki care kese kare?

 

1. Nayi maa ko delivery ke bad dekhbhal ki jarurat kyu hoti hai?

Nai maa ko delivery ke time bahot zyada pain jhelna padta hai. Aapne yah to suna hi hoga ki ladies ko bachche ko janm dete waqt 206 haddiyon ke ek sath tutne ke Jitna dard mehsoos hota hai, aur yeh bilkul true hai.

Is baat se yah saaf pata chalta hai ki ladies is waqt ke bad itna dard sahan karke behad kamjor ho jaati hai. aur aksar bacche ke moh mein new mother apni sabhi kamjoriyon par dhyan nahin de paati hain. Jo unko aage jakar bahut nuksaan de sakti hain. jo mahilayen akele rahti hain ya pehli bar maa banti hain unhen in baaton ki Jyada jankari nahin hoti. Aise main unhen ye sabhi jankariyon ka hona jaruri hai.

care for new mothers in hindi

 

2. Delivery ke bad pehle 24 ghante mein maa aur bachche ki dekhbhal.(care for new mothers in hindi)

delivery kitni tarah ki hoti hain?

yah delivery do tarah ki hoti hain. Normal delivery aur operation se delivery, dono hi delivery mein swasthya se judi jaanch karana jaruri hai. Operation ki delivery mein taanko mein infection ka khatra rehta hai. Isliye usmein jyada savdhaniyon ki jarurat hoti hai. Jisse ki taanke jaldi se bhar sake. iske liye maa ki health ki situation ko monitor kiya jata hai.

Normaly pehle 24 ghanton mein khoon se sambandhit kuchh durlabh vikaron se bachane ke liye bacche ko Vitamin K ka injection diya Jata hai. Is samay bacche ko piliya ka khatra bhi hota hai. Isliye iska bhi last test kiya jata hai. aur koi bhi lakshan dikhne par uska upchar hota hai.

Agar bachcha pehle 24 ghanton mein potty nahin karta hai, to uski bhi jaanch hoti hai. aur swasthya se judi samasya na ho, to BCG vaccine lagai jaati hai. agar koi swasthya samasya na ho, to pehle 24 ghanton mein maa aur bacche ko kabhi alag nahi rakhna chahiye. balki unka skin to skin contact kara dena chahiye. Is se bacche ko apni maa ka sparsh paakar doodh peene mein koi pareshani nahin hogi.

Maa ka pehla gadha peela doodh

Janm ke bad pehle ek ghante mein hi bacche ko maa ka doodh pilana shuru kar dena chahiye. Is se bacche ki paalan kriya acchi rahegi aur maa ka pehla gadha peela doodh Jise cholostrom kehte hain. yah doodh bacche ko kai tarah ke infection se bhi bachata hai. aur yehi doodh bacche ko kayi trh ki bimaariyo se ladne me madad bhi karta hai. jese diarrhea, nyoomoniya, hypertantion jesi aur bhi bimaariyo k thik karne me madad karta hai. sath hi yeh bachche ke andar IQ level bhi badhata hai. Operation wali delivery mein maa ka doodh banne mein thodi der bhi ho sakti hai.

3. delivery ke bad nayi maa me sharirik Badlaav, samasyaen aur upchar

1. Breast mein dard aur sujan

Agar nayi maay apne baby ko puri tarah se breastfeeding nahin karati hain. tab unke sath yah dikkat a sakti hai. breast kathor aur Jyada mulayam (tenderness) ki bhi dikkat ho sakti hai. aur in mein dard bhi ho sakta hai. In sab Ki vajah se aapke bacche ko breastfeeding ke dauran mushkil aa sakti hai. In lakshanon se bachne ke upay niche diye hain

  1. Apne bachche ko doodh pilane se pehle nayi maay breast pump ki madad se ya fir apne hathon se hi thoda doodh nikal lein.
  2. Aasani se doodh pilane ke liye nayi maay garm pani se naha sakti hain. ya fir kisi kapde ko garm pani mein geela kar usse breast ko saaf kar sakti hain.
  3. Bachche ko breast feed karate waqt normal thande geele kapde ko breast ke upar rakhen.
  4. Jab aap breast feed nahin karati hain to sahi bra pahne jisse ki breast ko support mil sake.

2. Skin aur hairs mein badlaav

Delivery ke bad nayi maa ke hormons ke level ko samanya hone mein kareeb 5 mahine ka waqt lag jata hai. Is dauran nayi maa ke baal teji se girne lagte hain. aur skin ka glow bhi khatm ho jata hai. lekin achchi care aur diet lete rehne se kuchh waqt ke bad yah samasya dheere dheere recover ho jaati hai. Pregnancy ke waqt jo skin per dark spots jhaiyan vagaira ho jaati hain,vah is dauran dheere dheere hatne lagte hain. Delivery ke bad shuruati kuchh hafton tak unke stretch marks bahut kharab lagte hain. lekin agar Inki bhi care ki Jaaye to yah bhi theek ho jaate hain.

3. Depression aur mood mein badlaav (mood swings)

Delivery ke bad nai maaon ko neend nahin aati. Neend aane mein dikkat hoti hai. Bechaini mehsus hoti hai. Unhen rone ka bhi man karta hai. Kisi kam mein ruchi nahin hoti. Is phase ko ‘Baby Blues’ kaha jata hai. aur yah sab mood swings hote hain.

yah mood swings maa ke hormone level ke normal na hone ki vajah se hote hain. aamtaur par delivery ke 2 se 3 hafte bad nayi maa ka hormone level normal hota hai. Tab yah mood swings wala baby blue phase bhi khatm ho jata hai. lekin is dauran nayi maa ko apna pura khayaal rakhna chahiye. Apni feelings ko apne jivan sathi parivar wale rishtedar va doston se share karen. Agar jarurat mehsus ho to doctor ki madad le sakti hain.

Kai bar yahi ‘Baby Blues’ gambhir samasya bhi ban sakta hai. Iski vajah se nayi maa ko postpartem depression ho jata hai. Agar nayi maao ko bacche ke janm dene ke do hafte bad tak had se jyada thakaan va depression feel ho raha ho; ya bahut jyada mood swings ho rahe ho; ya bhookh na lag rahi ho; ya kisi baat mein khushi mehsus nahi hoti to yah sab postpartem depression ke sankait hain. Aisi situation mein doctor ki salaah lena behad jaruri hai. kyunki bahut si mahilayen yahi nahin samajh paati hain ki unhen hua kya hai aur kai saalon tak ise jhelti rehti hain.

4. Operation wali delivery mein lage hue tanko ka dhyan

Operation wali delivery mein lage hue tanko ka agar theek se dhyan nahin rakha jaega to unmen infection ka khatra ho sakta hai. Inhen recover hone ke waqt mein asahaj mehsus hona, dard hona, thakaan hona yah sab ho sakta hai. yah samaanya baatein hain. inke alava niche di gai baaton ka dhyan rakhen.

  1. Doctor dwara di gai kuchh pain killers aur kuchh dusri anti septic di gai medicines ko theek samay per lein. Jisse ki aapke vo taanko ke ghaav jaldi theek ho jaaye. lekin kisi bhi haalat mein prescribe dose se extra dawaen na le. agar dard jyada ho raha ho to heat pad ka use kar sakte hain .
  2. Aaram zyada karein. Apne bachche ko uthane ke alava kisi bhi tarah ka vazan na uthaen. Dhyan rakhen aapko aur aapke bachche ko Jin cheezon ki jarurat ho vah sab aapke aaspaas hi maujood ho. jisse ki aapko uthkar idhar udhar jaane ki jarurat na pade. Jab tak ki aapke taankon ka ghaav theek na ho jaaye aap jyada nahin uthe nahin to taankon ke khulne ka khatra rehta hai.

5. Maa ke wazan me badlaav

Pregnancy ke dauran achche khaanpaan aur baby ki wajah se maa ka wazan badhna samanya si baat hoti hai. lekin delivery ke turant bad maa ka wajan kafi kam ho jata hai. jabki garbhashay ke ab bhi andar na jaane ki vajah se baby bump najar aata hai. Garbhashya ko wapas samanya hone mein kuchh dino ka waqt lag jata hai. isliye sabra karna jaruri hai.

Kuchh mahilayen ise motapa samajh kar wazan ghatane ki koshishon mein lag jaati hain. aur wazan ghatane ke chakkar mein apne mind par bewajah pressure daal leti hain. weight loss ke liye khana achche se na khana ya alag tarike apnana yah aapko nuksaan de sakta hai. Delivery ke bad achcha aur khoob sare poshan se bhara khana khayen. Aur agar wazan ghatana aapke liye zaruri hai, to 8 hafte ke bad aap iski shuruat kare usse pehle na kare.

Is motape se bachne ke liye nai maaon ko delivery ke bad paani ko paka kar hi peena chahiye. thanda pani ya kaccha pani bilkul nahin piye. Yah aapke motape ko aur bhi badha sakta hai is baat ka aap khas dhyan rakhen.

(care for new mothers in hindi)

Conclusion

Aapne is laikh mein padha ki new mothers ko delivery ke bad care ki zarurat kyu hoti he. Mahilaao me hone wale changes, after delivery problems and uska solution aapne dekha. Aap ye bhi jaan lijiye ki normal delivery ki tulna mein operation wali delivery mein mahilaon ko jyada saavdhaniyon ki jarurat hoti hai. Iske liye aapko time to time health checkup karana chahiye.

inhe bhi padhe- diet for new mother in hindi

Fiza Khan

Hello everyone, welcome to Mother Support blog. I am Fiza Khan (PRT Teacher) and mene ye blog un sabhi maao ki help ke liye banaya hai jinhe apne bachcho se judi pareshaniyo ke baare me ye pata nahi hota ki wo kya kare kya nahi. (I have created this blog to help for every mother who do not know what to do when they have in trouble related to their children).. and Articles padhne ke bad aap apne comment karna na bhoole. mujhe aapke comment ka wait rahega. aap mere blog ko subscribe bhi kar sakte hain. aap mujhe social media link par jaakar bhi follow kar sakte hain. mujhe achhe experience dene ke liye support karen..thank you so much....

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *