diethealth

Best diet for new mother in hindi

Sabse pehle to aapko bahut bahut badhayi new baby ke liye. Pregnancy ke dauran 9 mahine me jo bhi aapne khaya piya, vah aapke delivery ke bad bhi kaam aata hai but is samay bhi, new mother ko ek acche santulit bhojan ki jarurat hoti hai. hamare is lekh “diet for new mother in hindi” me aapko yahi jaankari milegi.

diet for new mother in hindi

  1. New mother ke liye poshan se bharpoor diet

(diet for new mother in hindi)

new mother diet
full nutrition food

Nayi maao ko breastfeeding karani hoti hai isi vajah se bacche ko maa ke doodh se poshan milta hai. yani bacche ke shareer ka poshan bhi  puri tarah se maa ke upar depend karta hai. Agar vah sehatmand bhojan nahin khaengi to unke shareer ke sabhi poshak tatv khatam ho Jaenge. tab unke andar kamjori a sakti hai isliye bharpur matra mein protein aur calcium ko apne bhojan mein zaroor shamil kare.

Isi tarah se apne food mein anaaj Carbohydrate fal aur sabjiyan dairy product aur protein bhi shamil karne chahiye aapko apni diet mein fiber bhi acchi matra mein lena jaruri hai. is se aapko kabj ki samasya nahin hogi iske alava aap nuts aur seeds bhi le sakte hain.

is mein aapko healthy fat mil Jaega. aapke shareer mein pani ki kami na ho uska bhi dhyan rakhna hoga acchi matra mein pani aur doodh piye jisse ki dehydration na ho sake is Waqt aap apne bacche ko doodh pilati hain isliye behad jaruri hai dehydration ki dikkat ko door rakhna is waqt agar aapke shareer mein vitamins aur minerals ki kami hoti hai to   doctor apko supplement khane ki Salaah bhi de sakte hain.

Daalen, faliyaan, nuts, hari sabjiyan, vitamins, carbs, minerals, iron, calcium, phosphorus aur fiber se bharpoor fruits and vegetables ka sevan karen aise fruits and veges ka sevan bacche ke liye bhi bahut Achcha hota hai.

  1. fruits

fruits mein khajur, kela, blue beri, santra aur angur aadi aap kha sakti hain

  2. Green vegetables

Hari sabjiyon mein broccoli, paalak, beans, parwal, bhindi Jaisi hari sabjiyo ko apne khanpaan mein shamil karna chahiye.

  New mother ko kya nahin khana chahiye

unhealthy foods na khaye

   1. oily foods

Delivery ke baad Oily foods aapka motapa badha sakte hain jisse cholesterol, heart problem, blood pressure Jaisi bimariyan ho sakti hain isliye inse Jitna bach sake aapke liye accha rahega. delivery ke baad oily foods mein bahut matra mein ghi, makkhan, meetha aur vasa se bhare foods na khayen unki jagah dry fruits, soyabean, alsi, vegetable oil, olive oil Jaise healthy oil aap le sakte hain

  2. Gas banane wale foods aur drinks

Pet mein gas banane wale food na khayen jese soft drinks aur cold drink and jo bhi food gas acidity aur khatti dakaare Jaise problem create karte hain unhen nahin khaen ya piye. Ye nayi maa aur bachche dono ke liye nuksaan de sakte hain.

  3. Masaaledar foods

Delivery ke baad masaaledar foods ya teekhe khane nahin khane chahiye. Ye khaane se aapki sehat ko nuksan to dega hi sath hi aapke bacche ko bhi aapke doodh ke zariye nuksan deta hai is se uski nazuk skin per chhote chhote daane ho Jaenge. isliye teekhe aur masaledar food se door Rahe.

  4. Allergy wale food

Kuchh mahilao ko kisi na kisi food se allergy hoti hai. Aise food ko na khayen because agar aap aisa karti hain to, yah allergy aapke bacche tak bhi aapke doodh ke zariye pahunch sakti hai.

Conclusion

Kisi bhi tarah ki diet ko chunne se pehle, har kisi maa ko apna health chek up karwana zaruri hai because sabki body requirement alag alag hoti hai. Kuch health problem me doctors sabko alag alag suggestion bhi de sakte hain.

hindi me ye article bhi padhe……pregnant ladies ke liye diet

Fiza Khan

Hello everyone, welcome to Mother Support blog. I am Fiza Khan (PRT Teacher) and mene ye blog un sabhi maao ki help ke liye banaya hai jinhe apne bachcho se judi pareshaniyo ke baare me ye pata nahi hota ki wo kya kare kya nahi. (I have created this blog to help for every mother who do not know what to do when they have in trouble related to their children).. and Articles padhne ke bad aap apne comment karna na bhoole. mujhe aapke comment ka wait rahega. aap mere blog ko subscribe bhi kar sakte hain. aap mujhe social media link par jaakar bhi follow kar sakte hain. mujhe achhe experience dene ke liye support karen..thank you so much....

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *